مصنف کے محفوظات: Ahmad

Ahmad کے متعلق

Professional blogger from Pakistan

Faiz Ahmad Ghazl Collection

Shaikh sahab se rasm o raah na ki,
Shukar hai zindagi tabaah na ki,


– Faiz Ahmed Faiz

Teray gham ko jaaN ki talash the

FAIZ AHMED FAIZ

Teray gham ko jaaN ki talash the , teray jaN nisar chalay gaey
Teri raah mein kartay thay sir talab , sar-e-rahguzar chalay gaey

Teri kaj adae say haar kr shab-e-intizar chali gae
Meray zabt-e-hal say rooth kr meray gham gusar chalay gaey

Na sawal-e-vasl, na arz-e-gham, na hikayatein na shikayatein
Teray ehd mein dil-e-zar kay sabhi ikhtiar chalay gaey

Yeh hamein thay jin k libaas par sar-e-rah siyahi likhi gae
Yahi daagh thay jo saja kay hum sar-e-bazm-e-yar chalay gaey

Na raha junoon-e-rukh-e-wafa, yeh rsan yeh daar kro gay kia
Jinhein jurm-e-ishq pay naz tha , wo gunehgar chalay gaey

July 1959

Khawab Basera

Khawab Basera…..

Is Waqt To Yun Lagta Hai Ab Kuch Bhi Nahin Hai
Mahtab Na Suraj Na Andhera Na Savera

Aankhon K Darichey Men Kisi Husn Ki Jhalkaan
Aur Dil Ki Panaahon Men Kisi Dard Ka Dera

Mumkin Hai Koi Veham Ho Mumkin Hai Suna Ho
Galiyon Men Kisi Chaap Ka Ek Aakhiri Phera

Shaakhon Men Khayaalon K Ghaney Pairr Ki Shayad
Ab Aa k Karey ga Na Koi Khwaab Basera

Ik Bair Na Ik Mehar Na Ik Rabt Na Rishta
Tera Koi Apna Na Paraya Koi Mera

Faiz ki Poem "Vo Jang” – Lyrics

Faiz’s Poem "Vo Jang”

Tum ye kehte ho vo jang ho bhi chuki
Jismen rakha nahin hai kisi ne kadam
Koi utraa na maidan mein dushman na hum
Koi saf ban na pai na koi aalam
Muntashir doston ko sadaa de saka
Ajnabi dushmanon ka pataa de saka
Tum ye kehte ho vo jang ho bhi chuki
Jismen rakha nahin humne ab tak kadam

Tum ye kehte ho ab koi chaara nahin
Jism khasta hai, hathon main yaara nahin
Apne bas ka nahin bar-e-sang-e-sitam
Bar-e-sang-e-sitam, bar-e-kuhsar-e-gam
Jisko chukar sabhi ek taraf ho gaye
Baat ki baat main zee-sharaf ho gaye

Doston ku-e-jaana ki nameherban
Khaak par apne roshan lahoo ki bahar
Ab na aayegi kya, ab khilega na kya
Is kaf-ey-nazneen par koi lalazar
Is hazin khamoshi main na loutega kya
Shor-e-aavaz-e-haq, naara-e-giro-daar
Shouk ka imtihan jo hua so hua
Jism-o-jaan ko ziyan jo hua so hua
Sood se peshtar hai ziyan aur bhi
Doston matam-jismo-jaan aur bhi
Aur bhi talakhtar imtihaan aur bhi

Bol keh labb aazad hain terey

Bol keh labb aazad hain terey
Bol zabaan abb tak teri hai

Tera satwan jism hai rera
Bole keh jaan abb tak teri hai

Dekh keh aahan ger ki dukan main
Tund hain shulay,surkh hai aahan

Khulnay lage qufloon kay dahanay
Phela her ek zanjeer ka daman

Bole yeh thora waqt bohat hai
Jism-o-jaan ki maut se pehley

Bole keh sach zinda hai abb tak
Bole, jo kuch kehna hai keh ley